Suno! Mujhay Ruswa Nahi Karna!

Suno! Mujhay Ruswa Nahi Karna!
Kabhi Aisa Nahi Karna!


Mein Pehlay Hi Akeli Hoon
Mujhay Tanha Nahi karna!

...
Meri In Jheel Si Ankhon Ko
kabhi Sehra Nahi Karna!


Judai Bhi Jo Aa Jay
tu Dil Chota Nahi Karna!


Buhut Masroof Ho Jana
Mujhay Socha Nahi Karna!


jo Likha Hai Wohi Ho Ga
Kabhi Shikwa Nahi Karna!


Suno Mujhay Ruswa nahi Karna
Kabhi Aisa Nahi Karna!!!!!!!!...........