Showing posts with label Urdu Ghazals. Show all posts
Showing posts with label Urdu Ghazals. Show all posts

Rukh Hawaon Ka Badalta He Gaya

Rukh hawaon ka badalta he gaya
Pyar jab dil mein utarta he gaya




Jab saba ney kiya izhaar-e-wafa
Phol chup chaap bhikarta he gaya




Aag bujhnay lagi jab seenay ki
Tou dhuwan aankh mein bharta he gaya




Aap ney sirf masihai ki
Dard kyun hadd se guzarta he gaya




Jis ney bhi maanga mohabat ka silla
Dil ko hathon sey woh malta he gaya




Koi tofan tou aya he nahe
Shehr-e-jaan phir bhi ujarta he gaya




Jis ney bhi ishq ki raahon ko chuna
Dasht aabad woh karta he gaya...!!!

Sitaron Ka Gumaan Hota Hai

Kabhi dharti pey sitaron ka gumaan hota hai
Kabhi Aakash pey khaaron ka gumaan hota hai






Teri Aankhein kabhi sagar ki tarah lagti hain
Aur kabhi in pey kinaaron ka gumaan hota hai






Aik chingari sulagti hai kabhi seenay mein !
Kabhi saanson pey shararon ka gumaan hota hai






Tu agar bhol ke kochy mein mere Aa jaye
Tou khizaaon pey baharon ka gumaan hota hai..

Mai Kya H0n Aur Kya Khawb Liye Phirta H0n

Mai Kya H0n Aur Kya Khawb Liye Phirta H0n,
Usne 1 Bar Kia Tha Sawal-e-M0habbat


Mai Hr Lamha Wafa Ka Jawab Liye Phirta H0n,
Us Ny P0cha K Kab Sy Nhi S0ya


Mai Tab Sy Raat Jagny Ka Hisaab Liye Phirta H0n,
Uski Kh0wahish Thi K Meri Ankh0n Me Pani Dekhe,


Mai Us Wakt Sy Ans0un Ka Selaab Liye Phirta H0n,
Afs0os K Phir Bhi W0 Mera Na Hua!”Saif"!


Mai Jis Ki Arz0 Ki Kitaab Liye phirta hon

Mushkil Na Bana

Uske gham ko gham-e-hasti to mere dil na bana
zeest mushkil hai ise aur bhi mushkil na bana


tu bhi mehdood na ho mujhko bhi mehdood na kar
apne naqsh-e-kaf-e-paa ko meri manzil na bana


aur barh jayegi weeraani-e-dil jaan-e-jahan
meri khalwat -e-khamosh ko mehfil na bana


phir meri aas barha kar mujhe mayooos na kar
hasil-e-gham ko Khudara gham-e-hasil na bana


dil ke har khail men hota hai bohot jaan ka ziya
ishq ko ishq samjh mashghale dil na bana

Mujhe Apnay Badan Ki Khusbhu Se

Mujhe Apnay Badan Ki Khusbhu Se Masroor Kardo,
Mujhe Apni Nazuk Bahon Mein Mehsoor Kardo,




Seenay Se Laga K Saaray Gham Door Kardo,
Main Tumse juda Na Ho Paon Itna Majboor Kardo,




Surkh Honton Se Pilao Ya In Mast Ankhon Se,
Main Tere Jism Se Lipta Rahun Itna Choor Kardo,




Leke Bahon Mein Tujhe Honton Se Itna Choom Lon,
Faslay Sharam-o-Haya K Tum Bhi Door Kardo,




Meri Nas Nas Mein Bas Jaye JAAN Pyaar Tera,
Main Kissi Or Ko Na Dekhun Itna Maghroor Kardo



Ik Baar He Ho Jaye Mohabat

Yunh dil ko har ik shaks pey waara nahe karty
Aankhon mein har ik aks utaara nahe karty


Honi hai tou ik baar he ho jaye mohabat
Ye bhol hai aisi ke dobaara nahe karty


Achha huwa main ney he faqt dekha magar yunh
Mehfil mein kisi ko bhi ishaara nahe karty


Kyun pyar ki baazi sey ho is darja guraiz'an
Kehty hain ke dil haar ke haara nahe karty


Mil jaye sir-e-raah jo bichra huwa koe
Chup chaap he takty hain pukara nahe karty...

Oski Aankhon Mein

Oski Aankhon mein aik saaya hai
Chot kha kar jo muskuraya hai


Yaad ban kar jo rach gaya khon mein
Osko sach much bohat bhulaya hai


Log kyun Aa gaye mitanay ko?
Hum ney kab shehr-e-dil basaya hai


Soch lo neend rooth jaye gi
Khuwab Aankhon mein kyun sajaya hai


Hum ney di hain dua'ein os os ko
Dil ko jis jis ney bhi dukhaya hai


Janay wala tou khair kya Aata !
Haan magar dard laut aaya hai


Os ney har baar he faraib diya
Baarha hum ney Aazmaya hai.

Vasl Ka Geet Sunaty Kyun Ho?

Vasl ka geet sunaty kyun ho?
Hijar ka dard chhupaty kyun ho?


Baad mein neend jo qatal karo gay
Pehle khuwab jagaty kyun ho?


Karta ho jo shor ankhon mein
Naam woh lab pe laty kyun ho?


Pehle khud he dil dey baithy
Ab ehsaan jataty kyun ho?


Keh do mujh ko bhol gaye tum
Kehny sey ghabraty kyun ho?


Dais ko khud pardes banaya
Bolo ab pachtaty kyun ho?


Palat ke jo ghayal kar daaly
Aisa teer chalaty kyun ho?


Sapna tou sapna hota hai
Aag ko barf bataty kyun ho?

Dard Kisi Ney Ghata Diya

Aisa laga ke dard kisi ney ghata diya
Pathar jab oski yaad ka dil sey hata diya


Is wasty hai apni amawas sey dosti
Ye chand jab bhi nikla hum he ko dagha diya


Hoty hain kuch asol judai ke bhi magar
Tum ney tou aik pal mein sab he kuch bhula diya


Kuch daiyr pehle khuwab mein thay sath sath hum
Is khush-gawar neend sey kis ney jaga diya...

Pyar Jab Dil Mein Utarta He Gaya

Rukh hawaon ka badalta he gaya
Pyar jab dil mein utarta he gaya


Jab saba ney kiya izhaar-e-wafa
Phol chup chaap bhikarta he gaya


Aag bujhnay lagi jab seenay ki
Tou dhuwan aankh mein bharta he gaya


Aap ney sirf masihai ki
Dard kyun hadd se guzarta he gaya


Jis ney bhi maanga mohabat ka silla
Dil ko hathon sey woh malta he gaya


Koi tofan tou aya he nahe
Shehr-e-jaan phir bhi ujarta he gaya


Jis ney bhi ishq ki raahon ko chuna
Dasht aabad woh karta he gaya...!!!

Osey Nahe

Kaise woh laut aaye ke fursat osey nahe
Duniya samjh rahi hai mohabat osey nahe




"Lagta hai Aa chuki hai kami oski chah mein
Kafi dinon sey mujh sey shikayat osey nahe"




Dil ki zameen oski hai banjar isi liye !
Jazbon ki barishon ki jo aadat osey nahe




Har cheez ikhtiyar mein rakhta hai woh magar
Dil sey rihaai panay pe qudrat osey nahe




Sehra ke har warq pe hai tehreer oska naam
Kal tak jo keh raha tha ke wehshat osey nahe.

Tanha Rehna Seekh Raha Hoon

TANHA rehna seekh raha hoon
Mar ke jeena seekh raha hoon






Mang ke paana seekh liya hai
Paa ke khona seekh raha hoon






Sabar ko apni raah bana kar
Kaanch pe chalna seekh raha hoon






Phirte phirte sehra sehra
Pyas ko peena seekh raha hoon






Jeeney ke hain ajeeb taqazey
Zinda rehna seekh raha hoon

Kabhi Dharti Pey Sitaron Ka Gumaan Hota Hai

Kabhi dharti pey sitaron ka gumaan hota hai
Kabhi Aakash pey khaaron ka gumaan hota hai






Teri Aankhein kabhi sagar ki tarah lagti hain
Aur kabhi in pey kinaaron ka gumaan hota hai






Aik chingari sulagti hai kabhi seenay mein !
Kabhi saanson pey shararon ka gumaan hota hai






Tu agar bhol ke kochy mein mere Aa jaye
Tou khizaaon pey baharon ka gumaan hota hai..





Dil Ka Chup Chaap Nagar Kaisa tha

Dil ka chup chaap nagar kaisa tha
Is mein saayon ka safar kaisa tha


Har koi ban ke falak is ko mila
Janay dharti mein asar kaisa tha


Kal jo saaya tha wohi raakh hai aaj
Kachy Aangan ka shajar kaisa tha


Aarzou mit gai rafta rafta
Dard baki hai, amar kaisa tha


Katt gai umer magar tay na huwa
Wo pur israar safar kaisa tha


Kar ke barbad ye pocha os ney
Tere khuwabon ka nagar kaisa tha?

Phir Sey Pyar Ka Dhoka Khaya Ja Sakta Tha

Phir sey pyar ka dhoka khaya ja sakta tha
Dil ka kya hai dil behlaya ja sakta tha


Kyun wapis na aya jaa kar wo janay
Lekin oske pas tou jaya ja sakta tha


Gar na hota moam ki surat dil apna
Gham ke suraj sey takraya ja sakta tha


Aik tumhara sath agar mil jata tou
Sari duniya ko thukraya ja sakta tha


Logon ney mujrim tehraya, maan liya
Aakhir kis kis ko samjhaya ja sakta tha


Ley douba jab ankhon ko tufan "Batol"
Kaise dil ka shehr bachaya ja sakta tha?

Mojhe Lakh Hoo Bhroossa

Mojhe lakh hoo Bhroossa mere dil ka kyaa Thakanna
Kabhi Be-Niqaab ho ker mere Samne na anna


Sar-e-Bazm tum khuda-raa mojhe yuun na azmanna
Meri simt eis adda say kabhi abb naa Muskuranna


Gam-e-Zindagi se mumkin naa huwa Nabaa-h mara
Yeh karam hia tere gam ka mojhe ajnabi na janaa


Tere raaz ka Taha-faz mere bass mian aab nahi hia
Keh Nikhar kay hoo gai hia mri her Nazer faana


Yeh hanssi hanssi nahi hia, yeh Faryaib hia hanssi ka
Na is say samjh saky tum, na samjh saka zamanaa


Koi taza hadasaa phir meri rah tak raha hia
Meri simt uth rahi hia , woo Nigah-e-Dil-Baranna


Tere zakham ki yaad gaariya.n mre shair meri gazle.n
Teri eik nazer ka haasil mera zooq-e-shaayranaa

Sab Kuch Tu Tere Pass Hai...

SAB KUCH TU TERE PASS HAI...
Tu phir kiyon dil udass hai?....


Hai piyar bhi tere liye....
Khayal bhi tere liye....


Ye dil bhi tere pass hai....
Tu phir kiyon dil udass hai?...


Main sochta hoon bas tujhe...
Main dekhta hoon bas tujhe...


Jab mujh pe etebaar hai...
Tu phir kiyon dil udass hai?...


Hai zindagi tere liye Ye dil, khushi tere liye...
Ye sab jo tere pass hai...


Tu phir kiyon dil udaas hai?...
Too neend main, tu khwab main...


Too mere dasht-o-aab main...
Har pal too mere saath hai...


Tu phir kiyon dil udass hai?...
Har simt hain gul khile houe....


Hain dost bhi mile houe...
Har simt piyar hi piyar hai...


Tu phir kiyon dil udass hai?...
Ye dil, khushi or etebaar...


Ye dost, khwab or ye piyar...
Sab kuch tu tere pass hai...


Tu phir kiyon dil udass hai?

Log Kyun Bas Ke Ujarty Hain kabhi Socha Hai

Log kyun bas ke ujarty hain kabhi socha hai
Kis liye jaan sey guzarty hain kabhi socha hai


Kaise palkon ki larzti huwi mundairon par !
Sainkron deep jalty hain kabhi socha hai


Go baharon mein chaman hoty hain Aabad magar
Phol pamali sey darty hain kabhi socha hai


Rang chehray ka badal jata hai pal bhar ke liye
Log jab baat badalty hain kabhi socha hai


Na'rasai sey nahe marta koi, maan liya
Dil mein Aaray sey jo chalty hain kabhi socha hai...?

Woh Bdguman Hai Osey Bdguman Tou Hona Tha

Woh bdguman hai osey bdguman tou hona tha
Kisi ko is tarha na'mehrban tou hona tha


Wohe huwa hai jo likha tha, khud ko dosh na do
Jigar ke khon ko jaan ka ziyaan tou hona tha


Nahe naseeb ka chakr, atal haqeeqat hai
Humari Aankh ko seel-e-rawan tou hona tha


Ana parsti mein dono he had sey agey thay
Ye faasla meri jaan ! Darmyan tou hona tha


Batol ko jo gilla hai tou sirf itna sa
Raqeeb ka he sahi raazdan tou hona tha...

Bharosa Toot Janay Sy Zara Pahlay Bata Daina

Bharosa toot janay sy zara pahlay bata daina
Mujhy tum azmany se zara pahly bata daina




Kisi heely bahany sy zara pahly bata daina
K mujh ko tum bholany sy zara pahly bata daina




Zamin ke rait pe tum ny mohabbat se likhi thi jo
Woh tahrerain mitany sy zara pahly bata daina




Mairy dilber k is dill pr main rakh loon zabt ka pathar
Suno daman churanay sy zara pahly bata daina




Kisi bhe mor pe Mohsin bura pao agar mujh ko
zara pahly bata daina ....