Bum Bhi Khafaaa Ho Log Bhi Barham Hien Dostoo

Tum bhi khafaaa ho log bhi barham hien dostoo
Ab ho chala yaqeen keh buray hum hien dostoo


Kis ko hamaray haal say nisbat hei kya kahiennn
Aankhien to dushm-non ki bhi pur-nam hien dostoo


Apnay sivaa hamaray naa honay ka gham kisayy
Apnii talasshh mien to hmee hum hain dostoo


Kuch aaj shaam hi say hei dil bhi bhujaa bhujaa
Kuch shahar key charaagh bhi madhham hien dosto


Iss shahar-e-aarzoo say bhi baahir nikal chaloo
Ab dil kii rounqain bhi koi dam hien dostoooooo


Sub kuchh sahii Faraz per itnaa zaroor hieeeee
Dunyaa mein aesay log bohat kam hien dostooo