Laakh Chahein Hum Muqadar Ko Badal Sakty Nahe

Laakh chahein hum muqadar ko badal sakty nahe
Iss mein likhay faislay aisy hain tal sakty nahe


Apni apni maslihat ke daaiyron sey baar'ha
Hum nikalna chahty tou hain nikal sakty nahe


Zindagi bhar sath deny ka woh kar ke faisla
Aaj do ik gaam apne sath chal sakhty nahe


Dil sey uthi tees unko baad mudat dekh kar
Kis kadar maan tha jazbon par machal sakty nahe


Soch kar rakhna qadam, asaib koi hai zaror
Iss dagar par jaan-o-dil aksar samhal sakty nahe


Zindagi ke khuwab ko dekhay bina chaara nahe
Khuwab andar khuwab mein aankhein tou mal sakty nahe...