Muqadar Sey Kaho Phir Sey Sitam Eijad Mat Karna

Muqadar sey kaho phir sey sitam eijad mat KaRNa
Koi Aabad hai dil mein, osey barbad mat KaRNa


Woh ik shab khuwab sa ban kar utar aye ga Aankhon mein
Ye palkein mond lena aur osko yaad mat KaRNa


Hansi mein he urra dey ga zamana dil ki baaton ko
Kisi ke samney bhi paish tum rudad mat KaRNa


Riha ho kar gohar palkon sey mil jaty hain mitti mein
Mujhe qaid-e-mohabat sey kabhi Aazad mat KaRNa


Issi mausam mein dil ke kaafley lut'ty huwe dekhy
In ankhon mein gulabon ko kabhi Aabad mat KaRNa...