Kabhi dharti pey sitaron ka gumaan hota hai
Kabhi Aakash pey khaaron ka gumaan hota hai
Teri Aankhein kabhi sagar ki tarah lagti hain
Aur kabhi in pey kinaaron ka gumaan hota hai
Aik chingari sulagti hai kabhi seenay mein !
Kabhi saanson pey shararon ka gumaan hota hai
Tu agar bhol ke kochy mein mere Aa jaye
Tou khizaaon pey baharon ka gumaan hota hai..
Sitaron Ka Gumaan Hota Hai
Shahzad Malik