Aai thi ik sadaa si magar yaad ab nahin
Auron sey thi juda si magar yaad ab nahin
Tehreer oske chehrey pe ik ajnabi si thi
Aankhein thin aashna si magar yaad ab nahin
Tark-e-taluqat ka jo ban gai sabab
Woh baat thi zara si magar yaad ab nahin
Ankhon ki khushk jheel mein utrey tou ye khula
Thi rouh kitni piyasi magar yaad ab nahin
Kuch yaad Aa raha hai ke Aaghaz-e-hijar mein
Chhai tou thi udasi magar yaad ab nahin
Kuch osko daiyr ho gai aanay mein aur kuch
Thi umer bewafa si magar yaad ab nahin...!!
Aai Thi Ik Sadaa Si Magar Yaad Ab Nahin
