Zindagi ke saaz ka toota huwa har taar hai
Koi naghma is mein ubhrey sochna bekaar hai
Maslihat ki koi bhi zanjeer pairon mein nahin
Aisa kyun lagta hai jaise dil pas-e-deewar hai
Jab hakomat keh rahi hai aman hai chaaron taraf
Khoon mein douba huwa kyun "Aaj ka akhbar" hai
Yunh khushi ke naam sey dil kaanp uthta hai batol
Zindagi ka raqs jaise maut ki jhankar hai...
Zindagi Ke Saaz Ka Toota Huwa
