Log kyun bas ke ujarty hain kabhi socha hai
Kis liye jaan sey guzarty hain kabhi socha hai
Kaise palkon ki larzti huwi mundairon par !
Sainkron deep jalty hain kabhi socha hai
Go baharon mein chaman hoty hain Aabad magar
Phol pamali sey darty hain kabhi socha hai
Rang chehray ka badal jata hai pal bhar ke liye
Log jab baat badalty hain kabhi socha hai
Na'rasai sey nahe marta koi, maan liya
Dil mein Aaray sey jo chalty hain kabhi socha hai...?
Log Kyun Bas Ke Ujarty Hain kabhi Socha Hai
