Phir Sey Pyar Ka Dhoka Khaya Ja Sakta Tha

Phir sey pyar ka dhoka khaya ja sakta tha
Dil ka kya hai dil behlaya ja sakta tha


Kyun wapis na aya jaa kar wo janay
Lekin oske pas tou jaya ja sakta tha


Gar na hota moam ki surat dil apna
Gham ke suraj sey takraya ja sakta tha


Aik tumhara sath agar mil jata tou
Sari duniya ko thukraya ja sakta tha


Logon ney mujrim tehraya, maan liya
Aakhir kis kis ko samjhaya ja sakta tha


Ley douba jab ankhon ko tufan "Batol"
Kaise dil ka shehr bachaya ja sakta tha?